BK Avyakt Bapdada Milan Murli In English 31 March 2016

bk murli today

Posted by: BK Prerana

BK Prerana is executive editor at bkmurlis.net and covers daily updates from Brahma Kumaris Spiritual University. Prerana updates murlis in English and Hindi everyday.
Twitter: @bkprerana | Facebook: @bkkumarisprerana
Share:






    BK Avyakt Bapdada Milan Murli In English 31 March 2016

    31-03-2016      Om Shanti       “Avyakth Bapdada”      Madhuban

    “Har bachche ka dil ka pyaar, unki stithi unkeh roop seh (face seh) dikhayi deta hei, har ek bhinn-bhinn sambandh ke pyaar seh milan mana rehe hein, manathe rehenge”
     

    Om Shanti. Iss chaitanya deepakom ke sangatan ko dekh bapdada bahuth khush ho rehe hein. Kaham-kaham sehh ek-ek deepak deepraaj sehh milne aaye hein. Deepraaj kitne badeh deepakom ke sangatan ko dekh khush ho rehe hein, Wah deep Wah! Ek dho ko dekh dekh muskura rehe hein kyonki yeh milan, ek dho sathi aapas mein milem aur kitne samay ke badh milthe hein. Tho yeh milan jho hei, iss milan ki bahuth shrest value hei. Vaiseh bhi aapas mein milthe hein, bathh karthe hein, murli sunathe hein, khana khathe hein, roohrihan bhi karthe hein, lekin yeh milna kitna pyaara lagtha hein kyonki sangatan hee chalthe firthe deepraj aur deepraj ke bachche, donom ka aapas mein milna. Bachche kahthe baba, ho baba! Aur bap kahthe ham bachche, meete bachche.

    Aaj tho bap aap keliye hee aaye hein isliye iska nam hee deepavali rekha hei. Deepakom ka milan. Ek-ek deepak ki, agar aap dyan seh baitke time lekhe dekho tho har ek ke face seh kitni meeti meeti bathem mann mein aathi hein. Ek-ek ka face bahuth kuch bathem mann ki abhiiss samay dil mein jho bhi hei vah kayiyom ki tho bahar likath mein dikayi de rehi heikyonki bap ke samne dilkayi de vah samay bahuth kam miltha hei. Chahe foreign ho, chahe india ho lekin bap ke dil mein bachche, bachchom ke dil mein baba. Yeh milan bahuth sneh ka swaroop dekhna ho tho madhuban mein dekho. Abhi har ek ki dil mein kaun? Baba ki dil mein bachche, bachchom ki dil mein baba. Kitna sundar milan hei. Vaiseh tho har ek bachche ka mukh andar hee andar mukh mein jho bathem kar rehe hein unka record tho bhar raha hei lekin unke face par record mein spasht roop seh aa bhi raha hei aur milan bhi ho raha hei. Abhi ikkata ek time par itnom seh tho mil hee rehe hein lekin yeh dil ka milan bap aur bachche ke roop mein, sathi ke roop mein, sakha aur sakhi ke roop mein kitna pyaara hei. Geeth hei na aapka, tumheim tho matha, tumheim tho pitha…. Sabh kuch ho. Tho aap yaham aakarke dekho jis samay har ek bachche ke dil mein yeh yaad ka swaroop aatha hein, aap socho tho jab har ek ke chehare par vah milan ka roop aatha hei tho kitna pyaara lagtha hoga! Vaiseh tho har ek ke dil mein chalthe firthe, kary karthe bhi dilaram dil mein dikayi de raha hei. Lekin yeh milna thode samay ka milan hei yeh, lekin kitna pyaara hei. Har ek ke dil mein vishesh yehi hei mera baba. Wah Baba Wah! Aapne har bachche ko apne dil ka kona de hee diya hei. Har ek ke dil mein dekho agar aisa dil ka naksha kheenchne vala ho tho bahuth aapko wonder dikhayi dega – koyi kis roop mein, koi kis roop mein, ek ko hee yaad kar rehe hein.
    Yeh sabha tho chodo lekin uss samay chahe yaham chahe centers par sabhi bachchom ke dil mein kaun dikhayi deta hei, majority. Aur har ek ki abhi ki shakal agar photo nikalo tho kitni kush dil hei. Bap aur bachchom ka yeh milan dil tho rahak dena vala hei. Agar pooche kisi seh bhi, aap ke dil mein kaun? Tho kya kahega? Mera baba. Meeta baba. Mere dil ka dilvar. Aur har ek ki shakal photo nikalo tho shakal mein farak hein. Har ek ke dil ke avas seh, har ek ki dil bhol rehi hei, vah kya bhol rehi hei.? Hei sabhi ka bhav ek hee lekin bhinn bhinn bhol mein bhol rehe hei. Sabhi ki dil ka ek hee avas hei, dil ka raja aa gaya. Har ek ki dil dekho, koi aisa photographer abhi nikala nehi hein, lekin bap ki dil mein har ek bachcha kaiseh samaya huva hei, vah scene agar bap bhi dekho tho dekthe hee rah javo kyonki yaham abhi iss samay dil ka andar ka naksha sab ka pratyaksh roop mein hei. Agar ek-ek uss roop seh jho dil mein hei, dikhayi deve tho bahuth aapko ashcharya lagega, koi kis roop mein, koi kis roop mein, kis samay, bhinn bhinn poseh mein milan mana rehe hein, vah dekhne yogya hei. Vaham ki ek bachche ke roop mein hei tho doosara maa-bap ke roop mein hei, sakha roop mein hei, bhinn bhinn roop mein hei aur har ek apne roop ke nashe mein bahuth lageh huve hei. Koi mera baba kah reha, tho koi mera dil ka har, bhinn bhinn roop seh, jho bhinn bhinn sambandh pyaar ke hote hei na vah har ek ke dil ke face mein pratyash dikhayi deta hei tho app socho har ek ke dil ka photo pratyaksh dekh bapdada ko kitna achcha lagtha hoga! Iss sadharan roop mein nehim lekin sadharan roop ke bhi dil mein kis roop seh yaad kar rehe hei usehe roop seh dikhayi de raha hei. Tho bholo, kitna achcha lagtha hoga! Dil ki photo, yeh face tho dikhayi deta hee nehi hei.
    Tho bapdada kabi kabi sakar roop mein emerge huve, class ke roop mein dikhayi deta hei, baite tho abhi har ek jho sangam yug ka roop hei usmein hee hei lekin agar uske andar ka roop dekhne chaho tho vah bhi spasht dikayi deta hei. Har ek ki dil kushi ke jhoole mein jhool rehi hei. Bapdada bhi har ek ka sadharan roop nehim dekh raha hei lekin samband ke swaroop mein bap aur bachche ke swaroop mein, aiseh nehi emerge kare tho sadharan hee aaye lekin dil ke pyaar ka swaroop pratyaksh hei. Tho aap dekhiye sab ke dil ka poora poora haal, abhi iss sabha mein dikhayi de raha hei. Tho bapdada ko kitna pyaar, har ek ke dil ka gahara roop dekh kitna ek ek ke prathi sneh pratyaksh dikhayi deta hei. Kisi bhi kone mein baite hei, abhi kona kaham aur hum kaham lekin har ek ka chahera bapdada ke sameep hi dikhayi deta hei. Koi bhi cheez bada roop karke dekho samne aur natural roop mein dekho tho kitna farak padtha hei. Tho bapdada jhab bhi aathe hei tho aap ka original roop dekthe hei aur dil seh kya nikatha hei? Wah bachche Wah! Thoda sa time sanmukh ka milta hei, bathh tho fir bhi dil mein hee kar sakthe hein lekin dil ki bathem dil mein kar lethe hein, sanmukh jaiseh bathh karthe hein tho sanmukh ka jho anubhav hei, kushi hei, dil ka samana hei, yeh anubhav kitna dil ko pyaara lagtha hei. Bhale koi last mein baita hei lekin dil mein yaad jitni jiski pakki hei, vah aiseh hee mahsoos kar reha hei tho baba ka sathi banke baita hoom. Tho sathipan aur sakshipan, donom hee roop dikhayi de rehe hein. Har ek ke dil ka anubhav apna apna hei. Kahta tho sabhi yeh hei ki baba ki yaad bahut achchi anubhav kar rehe hein lekin anubhav mein bhi bhin bhin roop hei. Majority dil mein sangam ka roop hee milan mein pyaara lagtha hein kyonki original feeling aathi hei. Bap aur bachche ka milan bahuth pyaara lagtha hei. Bhale last mein baite hei yaham hisab seh, lekin hei sabh dil mein. Dilaram aur bachchom ki dil, yeh milan kitna pyaara hei. Tho har ek abhi kaham baite ho? Kursi par? Har ek apne pyaar ke number anusaar usehe jagah par baite hei. Tho batavo kaisi sabha lagthi hogi? Har ek ke dil ka chithr iss samay kya hei? Vah chithr dil ka har ek ka abhi bahar ke roop mein dilkayi de raha hei. Kitni achcha sabha lag rehi hogi. Har ek ke dil ka chitr hei. Sabhi ka chehra bada sundar, kale kale ka nehim, sneh mein samaye huve ka make up jo jata hei tho aap bathavo kya sabha lagthi hogi? Tho aisi sabha bap dekh saktha hei, sehcond mein bap ke aageh jho uski stithi hei usehe anusar roop dikhayi dega. Aur sabha bahuth sundar lag rehi hei. Koi gor hei, koi kala hei kya hei, lekin baba ko lagan vala vah chithr hee nazar aa raha hei. Lagan ka chithr bas face mein hee aap dekh lo. Har ek ka face vartaman samay ke mann ki lagan ke swaroop ka pratyaksh dikhayi de raha hei.
    Bapdada tho yeh dekthe hein ki samay anusar mathavom ki sankhya kam nehim aathi. Vah aur hee zyada aathi hei. Chahe tang mein thoda kuch bhi hei lekin unhom ko koi tangem special meil ajthi hein. Tho bapdada ko aiseh bachchom ke beech kitna achcha lagtha hein.Wah! bhakthi mein inko bhinn-bhimm roop mein dikathe hein. Bapdada bhi jab yeh dhin aatha hei tho bachchom ko bahuth ek-ek ko dekhta hei. Aur bachche bhi usehe sneh ke roop mein dikhayi dete hein. Har ek ke dil seh wah baba wah! Wah baba wah! Ka geeth sunayi dete hei. Aur bap ko bachchom ke bhinn bhinn roop mein geeth bahuth achche sur mein sunayi dete hei. Koi kaisa dikhayi de, koi kaisa nehim. Ek hee sans mein, ek hee lagan ke roop mein dikayi de reha hei. Aap sabh ke chehare kuch tho badalthe hei, hei tho vahi chehare lekin jho andar ka pyaar ka swaroop hei vah dikayi de raha hei. Tho bapdada ko bhi aane mein, bachchom ko zyada taklif hoti hogi lekin mann ki mauj vah aur hee jho dhoor dhoor seh apne dil ki lagan seh athe hei unke chehare dekho. Bapdada dil mein hee bathh kar lethe hei.
    Abhi itne speaker tho nehim lag sakthe, dil ka speaker lag saktha hei. Sabhi mil tho lethe hei na! sabhi kahthe hei bhale kuch bhi ho lekin milthe tho hei na! aap ko kya lagtha hei? Itne mein sukh atha hei? Atha hei? Chahne tho yahi hogi bahuth time ho. Lekin bapdada dekthe hei aur drama anusar yehi ho saktha hei ki bapdada har ek ko apne chahna anusar, kyonki chahna bhi itne sabh aap baite ho har ek ki chahna apni apni hogi. Lekin pyaar ka milan chahe 10 minute hei, vah 10 minute nehim lagtha, ek hisab seh thoda bhi lagtha, ek hisab seh bahuth lagtha. Tho bapdada bhi ek ek bachche ko dekh khush bhi hote hei dekho kaham kaham kone mein baite hei. Lekin yeh bhi hei ki itne time mein bhi khushi ho jathe hein, bahar seh nehim dil seh kyonki aur kuch ho hee nehim saktha na.! bahuth koshish kee ki har ek chahtha hei kich samay humko mile, chahna tho yeh badthi jayengi yeh tho bapdada bhi samajthe hein lekin na seh yeh bhi pasand karthe hein. Na seh ham tho huyi.
    Aap logom ko mushkil tho nehi lagthi! Garmi ke dhin hei aur garmi mein aana jana, mana pahle ek pani aatha hei garmi ka, peeche milan hota hei. Sadhan bhi apnathe hei lekin kaliyug hei na, kaliyug mein sabh sadhan mile yeh asambhav hei. Ham hum sampann  ho jayenge aur samapthi bhi ho jayengi. Lekin vah ek minute ka milna bhi bahuth pyaara lagtha hein. Aur bap bhi ek dhin mein itne bachchom seh mil letha hei, tho bap ko bhi achcha lagtha hei. Na seh tho yeh achcha hei kyonki agar zyada kare tho fir jaiseh aiseh mile jaiseh door seh kyonki baba ko bhi tho bachche pyaare hei na! tho ek keliye itnom seh milna, hei tho bahuth milne ka pyaara samay lekin fir bhi milan tho hei na. nam kya rekhenge? Baba seh milke aaye, chahe kaiseh bhi milke aaye. Bapdada bhi samajthe hei ki aaj khal ke jamane mein garmi sardhi yeh apna aana milna yeh jaiseh chaltha aatha hei vaiseh badthe jatha hei aur chaltha hei. Pahle yeh sabhayem itni badi badi hothi thei! Abhi tho common lagtha hei. Ek hee sabha mein kitne shahar vale apne apne sthan seh milthe hein. Apne sthan seh ek jagah ikkate tho huve ho na. fir bhi koshish tho karthe hei jitna time yaham baba ke samne baitthe ho ikkate tho har ek ko apna sadhan bhi ho saktha hei. Baba ko pasand aatha hei ki khule maidan mein ho lekin khule maidan mein sunna, samajna yeh thoda mushkil ho jata hei. Abhi jabki samay abhi nazdeek aa raha hei samapthi ka lekin fir bhi milan tho ho jata hei. Itna dhoor dhoor, kitna dhoor seh mil rehe hei.  Aur  bap ko bhi achcha lagtha hei sirf dhairy seh jaiseh program miltha hei vaiseh hee chale. Bap jabh dekha hei na bachche thode halchal mein aa gaye hei tho dil mein lagtha tho hei ! lekin bap aur bachchom ka milan yeh choottha bhi nehim hei. Tho sabi jho bhi abhi aaye, kitna kasht mila yah nehim mila, achcha mila ya thodi taqlif hui, bapdada sabhi seh mil rehe hei. Jho thodi bahuth taqlif bhi huyi hogi tho uska bhi prabandh hoga tho karenge zaroor. Har ek samajtha hein hum bhi milke aayem, vah bhi prabandh dekho thoda sehrvice tho aage badavo. Jho nimith bani huyi athmayem hei unki sehva karke inko bada sakthe hein lekin himmath vala chahiye vah. Nehi tho thoda char – cheh police vala aayega tho doosare dhin sabhi darenge, isliye aisa hangama nehim karna hei. Sarkar naraz nehim hove. Hoti tho fir bhi hogi! Paranthu aisa nehim, sukh ke sadhan bhi hei. Aur kaun hei aap mein jho samajhe iss reethi seh milna jho hei vah bhi achcha hei, jho samajthe hei yeh bhi achcha hei jho chal raha hei, vah hath udana. Sabhi ne utaya hei. Aap sochenge aur bhi achcha ho saktha hei lekin sabh kuch dekhna padtha hei. Hamari dekho, dadi hei kitni age hei bhale insehh bhi badeh honge. Kyonki aaj ki sabha mein aisa bujarg bujarg dikhayi de rehe hei. Pasand hei na aap logom ko. Na chahthe bhi pasand hei. Chahthe nehim ho aiseh, lekin karna hee padtha hei. Aur bapdada samajthe hein ki apna rajy jabh hoga thab itne sadhan honge jho ham useh nehim kar sakenge, itne honge aur jab hone chahiye thab har ek sochtha hei ki agar yeh prabandh hota tho bahuth achcha! Aur bapdada seh jab bachche milthe hein tho ek-ek seh milna tho bahuth mushkil hei lekin sabhi seh drisihti lethe hei aur dethe hein. Yeh bhi achcha jho itne hall bhi hall bhi aap ko mile hei! Bap tho mila na! chahe thodi garmi sahan karni padi. Ya sunneh me thoda kam aaya. Yeh hota hei lekin yeh bhi dheere dheere teek tho kar rehe hei aur karthe bhi rehenge. Lekin bap aur bachchom ka milan tho hei hee ki samjathe ho issehh nehim mile tho achcha! Nehim. Bap ko bhi tho yaad aathe hei na bachche. Aiseh nehi ki baap ko yaad nehi aathe. Bap ko bhi yaad athe hei, bahuth dhin huve hei bachche mile nehim hei, lekin dekhna padtha hei. Lekin jab bhi baba milthe hei bachchom seh tho bahuth pyaare lagthe hein. Thodi garmi, pasehena thoda dena padtha hei lekin baba ke ageh va kya cheez! Bhakthi mein kya kuch karthe hein, yeh tho gyan hei. Araam tho miltha hei na. baite tho teek ho na sabhi. Bhale aaram seh lete huye nehim ho lekin baite tho teek ho na. aur aisa hee hona chahiye agar letne ka karenge tho adha tho paramdham mein chale jayenge. Tho bapdada ko bhi jab aana hota hei na, tho bahuth nazare samne aathe hei. Yeh tho honge hee fir bhi pragrithi bhi hum logom ko achcha sahara deti hei. Jaham bus stand nehim hei na, vaham bus stand bana rehe hei. Jeham taham mushkil hei tho koshish kar rehe ki sab teek ho jaye. Lekin chahiye dil ki lagan aur thoda sa bus stand mein taharna, aayenge tho bhi dhoor baitenge. Jaiseh abhi last mein jho baite hei unhom ko kya dikhayi dega! Lekin sabh achche drama anusar milan mana rehe hei aur manathe rehenge. Pasand hei na! itne baite, aiseh baite. Tho pasan hei! Sochenge iss par bhi yeh jhande lehara rehe hei kyonki becharom ko aiseh thoda aane- jane mein mushkil hota hoga na. fir bhi dil badi hei. Jitne garib hei utni dil badi hei. Achcha. Abhi yeh bhi samapthi karni padthi hei.
    Sehva ka turn U.P., Banares aur Paschim Nepal Ka hei, 13 hazar U.P seh aaye hei aur total 27,000 hazar aaye hei:-  zyaada karke U.P aayi hei. Yeham achcha dikhayi de reha hei. Hum logom ne bahuth mehanth ki aap log tho sukhi mein aaye ho. Hum logom ke dinom mein tho scooter bhi nehim thei. Yeh dheere dheere aaye hei. Tho sabi khush hei na. khush hei, khush hoke milthe rehenge.
    Double Videshi 50 deshom seh 900 hundred aaye hei:-  Taklif tho hoti hogi.     Hum logom neh jab shuroo kiya tho kaisi halath thi lekin abhi dheere dheere samaj mein aa gaya. Pasand hei na yeh. Yeh aiseh chale chale tho bhi pasand hei na.! achcha. Tho sabhi samajdhar tho hei hee. Samaj sakthe hei, kahne ke zaroorath bhi nehim hei. Jaisa samay mehangayi mein badtha jatha hei usehe anusar prabandh kiya jatha hei. Attention hei ki sahaj jitna ho sakeh utna hove. Lekin koi na koi karan aathe hei jiske karan thoda paisa badana padtha hei fir bhi Baba hamare saath hei jho hum logom ko salvation government bhi deti hei.
    Achcha hei na, aap ko pasand hei! Sabh araam seh milthe bhi aur mil karke jayenge. Ghar mein jayenge tho khana peena donom time milega. Baki jho bhi koi sahuliyath ho sakthi hei tho apna vichaar de dho. Kyom nehim huva, kyom nehim huva! Yeh zhor nehim dho. Jitna ho sakega utna aap ki bathh maani jayegi.
    Dadiyom seh :- sabhi baba ko kahthe hei ki aisa sahaj karo jho kisi kho mushkil nehim lageh! Sabhi baba kahthe hein aur ho jayega.(dadi janaki ko apne pass bitaya). Aap ek ka aaram seh baitna manah sabh ka baitna. Program tho aap log hee banayenge na. aap he malik ho na.
    (Mohini behan ka 75 va janma dhin manaya jaa raha hei, mohini behan ne bapdada ko sundar mala pahnayi, bapdada ne mohini behan ko mala pahanayi).
    Jho bhi bana rehe hei, vah general mein bhi useh kar rehe hei. Koi ulhana aaya tho nehim hei. Dheere dheere jho bhi kadinayi hei na, vah khatam karenge. Attention dhenge.
    Teenom bhayiyom ne bapdada ko guldasta diya :- sabh teek ho. Jaiseh jaiseh meeting karthe jathe ho vaiseh-vaiseh thoda spast hota jatha hei. (Poona Jagadamba Bhavan ka plan Bapdada ko dikhaya) (Brijmohan bhai ne CD ki opening karayi)
    Ishoo Behan seh:- thabiyath teek hei na!
    (S.D.M. sahib aur S.P. sahib bapdada seh mil reha hei):- abhi mil liye na.( bahuth achcha sahayog dete hei). Desh ka kam hei na. sabko karna chahiye. Desh ka kam hei koi Brahmakumari personal nehim karthi hei.
    Achcha. Abhi sabhi mile. Abhi aageh chalthe bhi milan hota rehega. Jaiseh progran banathe hei, vaiseh bananah.



    ***OM SHANTI***